Sunday, September 6, 2015

Aye nanhe farishtey,
Teri jagah hum katilon ke beech nahi.

Khoon ke aansu girana hamara pesha hain,
Teri choti si jaan ki yahan ko kadar nahi.

Hum badho ko sirf ata hain maut ka khel khelna,
Hum khoon ke pyaase insaan hain,insaniyat se hamara koi waasta nahi.

Ro rahe hain tujhe dekh,Jaise tu koi aur nahi.
Masoom , tuney kya bigada tha , kya is dahshat ka koi anth nahi.

Dua kar sakte hain , ki tu jahan bhi rahe , khush rahe.
Humey toh khushi kya hoti hain , uska bhi andaza nahi.

Alvida Chotu Alyan Kurdi.

I am sorry.

=====================================================================

ए नन्हे फ़रिश्ते ,
तेरी जगह हम कातिलों के बीच नहीं .

खून के आंसू गिराना हमारा पेशा है ,
तेरी छोटीसी जान की यहाँ कोई कदर नहीं .

हम बड़ों को सिर्फ आता हैं  मौत का खेल खेलना ,
हम खून के प्यासे इंसान हैं , इंसानियत से हमारा कोई वास्ता नहीं .

दुआ कर सकते हैं की तू जहाँ भी रहे , खुश रहे ,
हमे तो ख़ुशी क्या होती हैं , उसका भी अंदाज़ा नहीं .

अलविदा छोटू आल्यां कुर्दी .

मुझे माफ़ करदेना !!!!!!